Android
smartphone users ko games play karna bahut acha lagta hai. Android games time spend, fun karne ke liye best hai. Isse pahle
maine Jo log play store par best android 2017 games search kar rahe hai. Aur unhe best android games 2017 nahi mil raha hai. Wo yaha diye gaye list se best android games download kar sakte hai.
Temple run, Subway surfer,
asphalt 8 etc jaise games 2016 me top par thi. Iss year kaun sa games top and
best hai. Aur kyun games android ke best games hai iski jankari bhi batayi
jayegi. Agar aap kahi tour par hai aur time spend karna chahte hai to game
khelna pasand karte hai. Agar aap action,
car, sports, quiz games category ke top games ki jankari batayi
jayegi.
Best Apk Mobile Games 2017 Hindi Me Jane: Google Play store Par 2017 Me
Android Smartphone Ke Liye Best Games Ki List
1. Asphalt 8 : Airborne
200 million
se adhik android user asphalt 8 games ko play karte hai. Agar aap paas 2GB RAM ka phone hai to Asphalt 8 se best koi aur games apke liye
nahi ho sakta hai. Asphalt 8 ka sabse best part hai iska graphics. Ye addicted
android games hai. Kyunki iska graphics best hai. Ferrari, Lamborghini,
McLaren, Bugatti, Mercedes, Audi, Ford, Chevrolet jaise cars ko iss game me add
kiya gaya hai.Isme 40 se adhik tracks hai, jispar aap apne car ko run kar sakte
hai.
Asphalt 8 ki sabse achi
baat ye multiplayer games hai. Aur best multiplayer games 2017 me bhi Asphalt 8
ka name hai. Asphalt 8 me 400+ career events, 1,500 car mastery
challenges, 5 unique game modes hai. Jab bhi Racing games ki baat aati hai to
sabhi Asphalt 8 ka name jarur lete hai. Asphalt 8 : Airborne old game hai lekin
phir bhi isse log aaj bhi utna hi pasand karte hai.
2. Pokemon Go
Pokemon Go games ko kaun bhul sakta hai. 2016 me iss game ke relaese
hone ke baad ye sabse trending android game tha. Iss game ne bahut se record
bhi banayae hai. Ye ek finding game hai. Bahut year pahle POKEMON GO cartoon
serial tha. Wo cartoon serial bahut popular hua tha. Ab Pokemon GO game bhi
utna hi popular ho chuka hai.
Isme apko walk karke
Pokemon search karna hota hai. Ye ek Catching, hatching, evolving game
hai. Level increase hone ke baad aur bhi powerful pokemon pakar sakte hai. Ye
games sirf 2GB RAM wale ya isse adhik RAM wale phone me support karta hai. Pokemon
website www.PokemonGO.com par apko adhik
jankari mil jayegi.
3. Subway Surfers
Chor police ka ye game 2016
me sabse adhik download kiya jane wala game hai. Iss game me apko Railway track
par run karna hoga. Aur apke piche police rahegi. Apke railway track par ane
wale train se bhi bachana hai aur piche aa rahe police se bhi.
Temple Run ko subway
surfers ne popularity me piche kar diya hai. Ye ek addicted game hai. Subway
surfers games ki graphics HD hai.
4. Temple Run 2
Temple Run 2 Zillions times
download ho chuka hai. Android Games me temple run 2 ek revolution hai. Ye
ek running, jumping, turning and sliding based game hai. Isme bhi apko run
karna hai. Aap jitna adhik run karenge apka score utna adhik hota jayega.
5. Candy Crush Saga
Candy crush Soda Saga ke
developers ne Candy crush saga create kiya hai. 2000 se bhi adhik level wale
iss game ko jo ek baar play karta hai. Wo issye bar-bar play karna chahta hai.
Isme tofee and candy ko blast karna hota hai. Apko kisi same color ke tofee and
candy ko match karna hai. Agar aap game ke diye gaye moves se pahle aisa kar
pate hai to aap next level me jayenge.
6. 8 Ball Pool
World me bahut se pool game
lovers hai. Ye game pool game play karne walo ke liye hai. Isse abhi tak 8 lakh
se bhi adhik logo ne download kiya hai. Ye ek multiplayer game bhi hai.


No comments:
Post a Comment