- Apne state ka naam select kariye.
- Constituency select kariye. (Agar aapko apne area ka constituency nahi pata hai to aap Google par search kar sakte hai ya kisi ko puch sakte hai)
- Apna First name English aur phir Hindi font me likhiye.
- Apna Last name English aur Hindi me likhiye.
- Apne pitaji (Father) ka naam English aur Hindi me likhiye.
- Apne pitaji ka Last name english aur hindi se likhiye.
- Relative me father select kare.
- Abhi tak aapki kitni age ho chuki hai Current calendar ki hisab se apna age likhiye (Agar aap ye point nahi samjhe to or me jakar apna Date of Birth type kariye)
- Apna Gender select kare.
- Yaha apna current address enter kariye (Ye wo address hoga jaha aapka Voter ID aane wala hai)
- Yaha apne Ghar ka adress jaha aap permanent ho sahi sahi address fill kariye.
- Epic no enter kariye ( Nahi hai to blank hi chhod de)
- Kya aap me kisi tarah ki disability hai ! Nahi hai to kisi me bhi tick nahi kare Uske baad apna Email ID or Number enter kariye ( Ise aap chahe to nahi bhi bhar sakte hai)
- Ab apna Passport Size Photo ! Birth Certificate ! Aadhar Card or Address proof documents upload kare.
- Apna permanent address type kariye.
- Kya aapne pahle hi iske liye apply kiya hua hai ! nahi tick kare
- Ab Real time place enter kariye aur current Date likhiye.
- Finally ! Submit par click kare.
Howdy ! Election me Vote daalne ke liye aapko ek Voter ID ki
jarurat padti hai Voter ID Logo ki identity hoti hai isi ID se hi Logo ko
Identify ki jati hai Is ID ko hum aur aap Gov Documents verify karne ke liye
bhi use karte hai aur sabse achhi baat ish ID se hi hum New sim card buy karte
hai.

Yeh Voter ID
sirf Election hi nahi balki Government schemes ka labh uthane ke
liye bhi ish ID ki jarurat padti hai Voter ID ko 18+ ke baad bana lena bahut
jaruri hota hai Bank me account kholne ke liye bhi ishi ID ki jarurat padti
hai waise ab iski jagah aadhar card le chuki hai par ab bhi Gov ke bahut se
kaamo me voter id ki hi maang kari jati hai.
Voter ID ko aap offline bhi
bana sakte hai Offline banane me thodi bahut problem to face karni hoti hai
par ban to jati hai Voter ID ko offline banane ke liye aapko court jana hota
hai aur waha Counselor ki
madad le kar aapko ek form fill karna hota hai aur phir submit karna hota hai.
Wahi dusri aur Gaon me aapko
Court ke chakkar nahi katne padte hai Gaon me sarkar ne har area me ek Block
banaya hua hai jisse ki aapko Voter ID banane ke bare me jankari mil jati hai
Jaha aapko town me court jana padta hai wahi Gaon me block jana padta hai par
Gaon ki suvidha court jane se jyada achaa hai.
Voter ID Kyu Banaye
Simple sa myth hai agar aap
ek student hai aur aapki Age 18+ ho chuki hai to Election ID banana apka haq
hai yeh ID free me banti hai aur ish ID ko banane ke baad aap Election me Vote
daalne ke liye eligible ho jate hai saath hi yeh ID aapki Identity ke roop me
kam karti hai jisse ki sarkari kaam me ye apke bahut kaam aati hai.
Ish ID se apne naam par bank
account banai ja sakti hai saath hi passport banane me bhi ish ID ki jarurat
padti hai sarkar ke har schemes ka labh uthane ke liye aapko Voter ID ki
jarurat padti hai.
Voter ID Online Kaise Banaye
Voter ID ko aap 2 tarah se
bana sakte hai pahla Offline or dusra Online Agar aap Gaon me rahte hai to ish
ID ko offline banaye kyuki Gaon me ise banane ka process simple hai Waise
simple to Online bhi hai par wo sirf Town ke Logo ke liye Sahar me rahne wale
Log kuch bhi kaam ke liye kahi jana nahi chahte hai isliye Online Voter ID
banane ka tarika unke liye best hai.
Step 1 : Sabse
pahle NVSP Service Portal website par jaiye aur phir Apply Online For New Registration Of New Voter tab par click
kariye.

Step 2 : Next ! ab ek bahut
badi aur lambi form khulegi aur usme aapko apni sari information sahi sahi
bharni hai (Yeh form bahut badi hai isliye maine isko parts (section) me kar
liya hai jisse ki aapko ishe bharne me aasani hogi aur mujhe bhi aapko samjhane
me aasani hogi)
Form Section 1

Form Section 2

Form Section 3

Now ! aapki request
nirvachan aayog tak pahuch chuki hai ab wo verify karenge aur jab aapka Voter
ID ban kar ready ho chuka hoga to wo aapke Booth level officer or aapke
address tak pahuch jayega.
Form ko submit karne se
pahle form me bhare sabhi information ko badiya se inspect kar le agar aapne
address or baki field me galti ki hogi to wo usi tarah chap kar aapke ghar tak
pahuch jayegi.
Agar aapne apni taraf se koi
galti nahi bhi kari hogi to bhi kuch na kuch galti voter ID me nikal hi jata
hai usme sabse jyada Galti aapke naam aur aapke pitaji ke naam par hoti hai In
case aapke Voter ID Card me bhi aisi Galti hoti hai to bhi koi problem nahi
aap ishe online correction kar sakte hai.
So Guys ! Hope You Enjoyed
our post agar aapko Voter ID banane se related or Is post se related kuch
sawal puchna hai to wo aap hame comment karke puch sakta hai.
Post pasand aaya to ishe
jarur share kare.


No comments:
Post a Comment